Tuesday, July 26, 2011

Poochho na yaar kya huwa

Hmm Hmm
(Poochho Na Yaar Kya Huwa
Dil Ka Qaraar Kya Huwa) - 2 
Tumpe To Ham Mar Mitte Hain Abhi Se 
Jaane Hamaara Aage Kya Hoga 
Ai Yai Ya Ya



Aage Kya Hoga Aage Shaadi 
Hamko Mil Gayi Duniya Pyaar Ki
Maana Ho Gaye Tum Mere Apne 
Phir Bhi Ye Sawaal Dil Mein Ye Khayaal
Na Ho Ye Kahi Door Ke Sapne 
Ye Aitbaar Kya Huwa Dil Ka Qaraar Huwa 
Tumpe To Ham Mar Mitte Hain Abhi Se
Jaane Hamaara Aage Kya Hoga 
Ai Yai Ya Ya Aur Phir Kya Hoga 
Eh Paartiya Daawatein 

Apne Paas Kya Armaan Ke Siwa
Yu To Main Tumhein Aur Kya Dungi 
Jo Bhi Hai Mera Main Aur Mera Pyaar
Tumpe Ek Baar Sab Luta Dungi 
Chaahoge To Main Dekhungi Tumhein
Keh Doge To Phir Sar Jhuka Lungi 
Haay Dildaar Kya Huwa Dil Ka Qaraar Huwa
Tumpe To Ham Mar Mitte Hain Abhi Se
Jaane Hamaara Aage Kya Hoga 
Ai Yai Ya Ya Waah Waah ... 

Arre Baaba Tum Bhi To Kuchh Bolo Na 
Ye Baat Hai To Suno 
Chhodo Jaan-E-Jaana Tum Bhi Ho Kaha
Ghabhraate Nahi Ham Zamaane Se 
Dekho To Idhar Kiska Hai Jigar
Uljhe Aapke Is Diwaane Se 
Ho Uljhe Hazaar Kya Huwa 
Ai Mere Pyaar Kya Huwa 
Apni Khushi Hogi Ye Zindagi Bhi 
Iske Siwa Aage Kya Hoga 
Ai Yai Ya Ya

No comments:

Post a Comment