Showing posts with label AADHI RAAT. Show all posts
Showing posts with label AADHI RAAT. Show all posts

Wednesday, July 27, 2011

Hamen Duniya Ko Dil

( Hamen Duniya Ko Dil Ke Zakhm Dikhalaana Nahin Aata )-2
Tadap Lete Hain, Lekin Un Ko Tadapaana Nahin Aata
Hamen Duniya Ko Dil Ke Zakhm Dikhalaana Nahin Aata

Dil Hi Toh Hain

Dil Hii To Hai Tadap Gayaa Dard Se Bhar Na Aaye Kyon
Royenge Ham Hazaar Baar Koii Hamein Sataaye Kyon

Rote Hue Guzaar Dii Jis Ne Tamaam Zindagii
Us Ko Hansii Se Kaam Kyaa Koii Use Hansaaye Kyon

Banke Suhagan Rahi Abhagan

Ban Ke Suhaagan, Rahii Abhaagan
Phuut Gaii Taqadiir Merii
Phuutii Huii Taqadiir Ke Aage
Chal Na Sakii Tadabiir Merii

Dil Mein Aag Aankhon Mein Paanii
Haay Merii Barabaad Jawaanii
Kisako Sunaauun Gam Kii Kahaanii
Kaun Bandhaaye Dhiir Merii