Showing posts with label AAG. Show all posts
Showing posts with label AAG. Show all posts

Thursday, July 28, 2011

Raja Ki Aayegi Baarat

Raja Ki Aayegi Baaraat Rangili Hogi Raat
Magan Main Nachoongi Ho Magan Main Nachoongi

Raja Ki Aayegi Baaraat..

Rab Mera Araj Sun

Rab Mere Araj Sun Meri Sharan Ab Teri
Jis Din Se Gaya Dil Mera Dukhon Ne Ghera
Rab Mere Araj Sun ...

Kyon Ruuth Rahe Kartaar Meri Sarkaar
Bataate Jaao - 2
Kya Hamse Ho Gayi Bhool
Hamein Batlaao - 2
Padu Na Paiya Na Ho Naaraaz Mere Sartaaj
Ye Dil Ab Tera Jis Din Se Gayaa ...
Rab Mere Araj Sun ...

Raat Ko Jee Hay

Raat Ko Jee Haay Raat Ko Jee Chamkein Taarein
Dekh Balam Mohe Ankhiyaan Maare Jee Main Mar Gayi Rama
Raat Ko Jee Haay Raat Ko Jee Chamakein Taarein
Pahalu Mein Dil Mera Paav Pasaare Jee Main Kaa Karu Raama

Kaahe Koyal Shor Machaye Re

Kaahe Koyal Shor Machaaye Re Mohe Apna Koi Yaad Aaye Re
Keh Do Keh Do Koyal Se Na Gaaye Re Ho Mohe Apnaa Koi Yaad Aaye Re

Usne Kaahe Ko Nain Phiraye Re, O, Koi Jaake Use Samajhaye Re
Mere Dil Se Jo Nikle Hay Re Koi Dosh Mera Batlaaye Re (2)

More Nainon Mein Nir Bhar Aaye Re Mohe Beete Woh Din Yaad Aaye Re (2)
Haaye Aag Lagi Hriday Mein Ho, Koi Hriday Ki Aag Bhujhaaye Re

Mera Jeevan Pal Pal Jaaye Re Rahun Kab Tak Aas Lagaaye Re (2)
Koi Jaake Use Samajhaaye Re O, Merii Maut Se Pahale Aaye Re

Dil Toot Gaya Ji

Dil Toot Gaya Ji Choot Gaya
Kismat Ne Mita Kar Chod Diya
Aankhon Mein Bhi To Aansu Na Rahe
Majboor Bana Kar Chhod Diya
Dil Toot Gaya Jo ...

Aye Meri Ummidon Ki Duniya Badnaam Mohabbat Hoti Hai
Kyon Mujhko Banaya Tha Apna Kyon Apnaa Bana Kar Chhod Diya
Dil Toot Gaya Ji ...